For my best friend

Mujhe nhi pata main likhna kaha se shuru karu, unn baato se jabse hamari friendship shuru huyi tab se ya abhi jo 2 din mein jo kuch hua waha se ?.
Mujhe nhi pta main ye sab kyu likh rha hu , iski jarurat h bhi ya nhi, ya inn baato se kisi ko kuch fark pdta bhi ya nhi. Mujhe pata h ye cheeze aaj se kuch saal baad na tumhare liye maayne rakhengi aur na shayad mere liye, par fir bhi , aaj jo main mahsoos kar rha kar rha wo likhna chahta hu jisse ki agar main ya tum kabhi aane wale samay mein iss cheez ko pdhe toh lage ki haan hamare beech itni pakki friendship thi.

Hamare beech abhi sab kuch khatam nhi hua h , aur na he hoga, hamari jo frienship thi wo hamesha hamare beech rhegi bhale he hamari baat months ya years baad ho.

Inn 2 dino ne mujhe bahut kuch sikha diya h, ki kaise zindagi achanak se badal si jati h ek jhatke mein. Kaise ek khushi khushi chali aa rhi zindagi mein achanak se toofan sa aa jata h. Mujhe pata h ye baate kuch jyda he lag rhi hongi tumhe kyuki ye shadi hona, friendship tootna , relationships tootna ye toh hum roj dekhte h sunte h, par kya humne kabhi inn cheezo k tutne k baad hone wale ehsaas ko feel kiya h??? Nhi kiya hoga na, jab tak wahi cheez hamare sath nhi hoti hum dusre k dukh aur feelings ko acchi tarah nhi samajh paate.

Kirti, tumhare dosti todne se hamari dosti kabhi tootegi nhi, ye tum baat acchi tarah jaanti ho. Maine 1.5 saal tak tumse lagatar roj baat ki h, sab kuch share kiya h aur tumne bhi bahut kuch share kiya h...Tumhe bhi thoda bahut bura jaroor lagega agar sab kuch khatam hota hamare beech ekdum se.

Mera tumhe pareshan karna chhoti chhoti baato pe, fight karna , muh banana ye sab ek acchi friendship ka hissa he toh thhe... Tumhe kutti bolna, ye toh maine socha he nh tha ki kisi friend ko bol paunga. Ye koi gaali nhi thi mere taraf se tumhare liye, bas thoda sa preshan karne ka andaz tha. Tumhare sath ludo khelna , video share karna , dare dene k naam pe ek dusre ko 4-5 glass pani pilwana, tiktok video banwana...ye sab sochne mein ab accha lagta h. par ab, ye sab baate he rhengi. Kash zindagi mein shadi naam ki koi cheez he nhi hoti, hote toh bas sirf friends friends aur sirf friends. :)

Kirti, tumhari shayad mujhse hamesha he shikayat rhi hogi ki main tumhari tareef nhi karta. Tumne ye kabhi khulkar nhi bola hoga, par mujhe pata h sabke mann mein iccha hoti ki koi uski tareef kare, ye umneed apne close logo se jyada rhti h... Anzaan log toh bas jhooti tareef karte h. Kirti, tum ek nekdil aur acchi ladki ho jo apne friends , family k baare mein fikar karti h. Tumhara baar baar muh banane par mujhko manana iska bahut bda example h. Tum chahti toh mujhe meri hazar cheezo k liye ignore kar sakti thi, meri unn cheezo k baare mein fikar karna band kar sakti thi, par tumne mujhe har baar manaya. Jitni meri age h abhi, uske hisaab se lagta h mujhe apni life mein koi tumhari jaisi friend nhi milegi, girlfriend toh main waise bhi nhi banane wala zindagi mein :p.

Ye sab toh huyi puraani baate, ab chalo in do din k baare mein baat karte h.
Pahli baat toh yhi ki kisi k kahne par block kar dena theek nhi tha. Main samajh sakta hu tumhara apna ek alag darr h mujhe lekar, yhi ki kisi ko mere baare mein pta chalega toh kya hoga. Mujhe nhi pata ki manju ne apne friend ko bhi issi tarah block kiya tha ya nhi jab uski shadi huyi thi. Par kirti iss baat se mujhe bahut he bura laga, tum jaanti ho mera kya haal tha jab tumse call pe baat huyi. Jab aap kisi se iss tarah se attach ho jaate h, toh aise ekdum sab khatam karne se jo dukh hota h wo saamne wala he samajh sakta h. Mujhe tumse ab koi shikayat nhi h iss baat ko lekar ki tumne mujhe block kyu kiya.

Mujhe accha laga ki tumne meri baat samjhi aur apni block karne wale decision ko lekar apna mann badla.

Kirti, mujhe pata h shadi k baad tumhare liye cheeze bdal jayengi, khaskar se ek male friend se baat karna thoda tough hoga. yaha ye jarur yaad rakhna ki humara rishta bhai bahan jaisa h, hamare beech mein koi aisi waisi feelings nhi h. Issi baat ko dhyaan mein rakhte huye ab hume baat karni h ab jab bhi baat ho. Main tumhare kam baat karne wale decision ko bhi maanta hu, tumhare paas itna time bhi nhi hoga mujhe dene . Baat kam karni h par band nhi karni, baat bhale he ek week mein ek baar karo, do week mein karo, ya ek month mein , par baat karo. Jisse ek dusre ka haalchal puch sake. Baat band honi hogi toh he jayegi kuch saal mein ya months mein jab hum apni apni life mein busy ho jayenge tab.

Kirti, haan main maanta hu main thoda kaamchor hu. Par ab sach mein kuch banna chahta hu, main khud apni zindagi se thak sa gya hu, dinbhar ghar pe rhna aur kuch bhi na karna.

Main nhi chahta tum mujhe aise he nikamme ki tarah dekho hamesha. Main chahta hu ki tum mujhe kuch bante dekho, kuch karte huye jisse tumhe mere baare mein sochakar thodi bahut khushi ho. Maine tumse whatsapp pe block karne ko isiliye kaha....bhale he hamari baat kam hogi ya hogi he nhi waha pe, par tum mujhe kuch karte huye jarur dekh paogi iske through. Ye zindagi ne bahut accha mauka diya h mujhe apne baare mein bahut kuch badalne ka aur karne ka.

Kirti, haan mujhe bahut he tension ho rhi thi aaj tumhare rishte ko lekar, mera aisa haq hai ye main janta hu, tum meri best friend ho toh mujhe fikar aur tension dono lene ka adhikaar h. Tumhare paas family h tumhari fikar karne k liye, par ek friend jo tumhari fikar karta ho ,uska hona koi buri baat nhi h.

Fikar iss baat ki thi ki ladka kaisa hoga, kaisi soch hogi aur kya tum iss rishte se khush ho. Mujhe inn cheezo k thode thode jawab he mile hain, par jaha tak mujhe lag rha tum iss rishte se khush ho.

Main tumhe tumhari shadi se pahle aur shadi k baad bhi khush dekhna chahta hu, isi mein he meri khushi bhi chhipi h. Isiliye main tumse contact banaye rakhna chahta hu shadi k baad bhi, meri koi tumse hamesha baat karne ki koi intention nhu h. Kisi ki itni fikar karna koi acchi kou buri baat h ya nhi wo tum decide karo, par main aisa he hu, jab kisi se attachment sa ho jata h toh main apne aap unki care karne lagta hu.

Aaj k liye mujhe bas itna he kahna tha , par abhi baate khatam bhi huyi h...

Comments